Sunday, 25 March 2012

Twinkle Twinkle Little Star

Twinkle twinkle little star

teri girlfriend gi bazaar

us ko mil gya doosra yar

ab toun beith k makhiyan mar

touba touba astaghfaar 

twinkle twinkle little star

Itnay Bi to Wo Khafa Nahin They

Itnay bi to wo khfa nahi they
jesey kbi aashn nahi they
mna k hm khn they aesy
par you bi juda jud nhi they
thi jitni bisaat ki porstish
 tum bi to koi KHUD nahi they
hd hoti hai tnz ki bi akhar
ham terey nhi they ja nhi they
kis kis se nabhatey rafaaqat
ham log bewafa nahi they
 rokhsat hoa wo to main ne dekha
phool itnay bi khushnuma nahi they
they youn to ham us ki anjman mae
koi hamain dekhtay nahi they
jub us ko tha man khud pe kya kya
tb ham bi faraz kya nahi they

Saturday, 24 March 2012

Wo Kaghaz Ki Kashti Wo Barish Ka Paani

Ye dolt bile lo ye shuhrat bi le lo 

bhaley chheen lo mujh se meri jawani 

mgar mujh ko lota do wo bachpan ka saawan

wo kaghaz ki kashti wo sawan ka paani

mohallay ki sb se porani nishani 

wo burhiyy jise bachay kehtay they naani

wo nni ki baaton me pariyon ka dayra

wo chehray ki jhoriyyon mae sadiyyon ka pehra

bhulaye nahi bhool sakt hi koi 

wo chhoti c ratayn wo lmbi kahani

kari dhoop mae apnay ghar se nikalna

wo chiriyn wo bulbul wo titli pakarna

wo gurhia kiu shadi pe larna jhagarna

wo jhoolon se girna wo gir k sambhalna

wo peetal k chhalon k pyre se tohfay

wo tooti hoi chooriyon ki nishani

wo kaghaz ki kashti wo barish ka paani


Thursday, 22 March 2012

Mujhay Sandal Kar Do

Apnay ehsas se chho kr mujhay sandal kr do

 main k sdiyon se adhoora houn  mukamal kar do

na tumhain hosh rhay na mujhay hosh rahay

is qadar toot kar chaho mujhay pagal kar do

tum htheli ko mere pyr ki mehandi se rango

apni ankhon mae mere pyar ka kajal kar do

dhoop hi dhoop houn main toot kar barso mujh par

main to sehra houn mujhay pyar ka baadil kar do

us k saaye mae mere khawab mehak uthayngay

mere chehray pe umeedon bhara aanchal kar do

apnay honton se koi muhar lagao mujh par

ik nazar pyar se dekho mujhay ghayal kar do

Wednesday, 21 March 2012

Kaash Main Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota

Kash main tere haseen hath ka kangan hota

toun baray pyar se baray chao se baray arman k sath

apni naazuk si kalaai mae chaarhati mujh ko

or betaabi se furqat ke khizan lamhon mae

toun kisi soch mae doobi jo ghomati mujh ko

mae tere hath ki khushboo se mehak sa jata

jub kabi morh mae aa kar mujhay chooma kaarti

tere honton ki shidat se mae dehak sa jaata

raat ko jub bi toun neendon k safar par jati

marmari hath ka ik takiayy banaya karti

mae tere kan se lag kr kai baten karta

teri zulfon ko tere galon ko chooma krta

jab bi to band qabba kholny lagti jaanaan

apni aankhon ko tere husan se khera karta

mujh ko betaab sa rkhta teri chahat ka nasha

mae teri rooh k gulshan mae mehakta rehta

mae terey jism k aangan mae khanakta rehta

kuchh nahi to bus yehi benaam sa bandan hota

Kash mae tere haseen haath ka kangan hota






Tuesday, 20 March 2012

Mat Door Jana Ham Se

mat door jana ham se kabi itna k waqt k faislay pe afsos ho


kya pata k phir tum laot k aao or ye jism mitti main khamosh ho

Friday, 16 March 2012

Ghazal,Duniya Ne Hum Pe Jub Koi Ilzaam Rakh Diya

Duniya ne ham pe jub koi ilzm rkh diya
hm ne mobil us k tera nam rkh diya

ik khas had pe a gai jub teri berukhi
nam us k hum ne gardishy ayyam rakh diya

mae lar khara raha houn tuhain dekh dekh kar
 toun ne to mere samnay jam rakh diya

kitna sitam zareef hai wo sahib-e-jamal 
us ne diya jala k sar-e-baam rakh diya

ab jis k jee mae aaye wohi paye roshni
ham ne to dil jala k sar-e-aam rakh diya

kya moslehat shanaas tha wo aadmi noreen
majbooriyon ka naam jis ne wafa rakh diya