Showing posts with label Ghazal. Show all posts
Showing posts with label Ghazal. Show all posts

Sunday, 25 March 2012

Itnay Bi to Wo Khafa Nahin They

Itnay bi to wo khfa nahi they
jesey kbi aashn nahi they
mna k hm khn they aesy
par you bi juda jud nhi they
thi jitni bisaat ki porstish
 tum bi to koi KHUD nahi they
hd hoti hai tnz ki bi akhar
ham terey nhi they ja nhi they
kis kis se nabhatey rafaaqat
ham log bewafa nahi they
 rokhsat hoa wo to main ne dekha
phool itnay bi khushnuma nahi they
they youn to ham us ki anjman mae
koi hamain dekhtay nahi they
jub us ko tha man khud pe kya kya
tb ham bi faraz kya nahi they

Thursday, 22 March 2012

Mujhay Sandal Kar Do

Apnay ehsas se chho kr mujhay sandal kr do

 main k sdiyon se adhoora houn  mukamal kar do

na tumhain hosh rhay na mujhay hosh rahay

is qadar toot kar chaho mujhay pagal kar do

tum htheli ko mere pyr ki mehandi se rango

apni ankhon mae mere pyar ka kajal kar do

dhoop hi dhoop houn main toot kar barso mujh par

main to sehra houn mujhay pyar ka baadil kar do

us k saaye mae mere khawab mehak uthayngay

mere chehray pe umeedon bhara aanchal kar do

apnay honton se koi muhar lagao mujh par

ik nazar pyar se dekho mujhay ghayal kar do

Wednesday, 21 March 2012

Kaash Main Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota

Kash main tere haseen hath ka kangan hota

toun baray pyar se baray chao se baray arman k sath

apni naazuk si kalaai mae chaarhati mujh ko

or betaabi se furqat ke khizan lamhon mae

toun kisi soch mae doobi jo ghomati mujh ko

mae tere hath ki khushboo se mehak sa jata

jub kabi morh mae aa kar mujhay chooma kaarti

tere honton ki shidat se mae dehak sa jaata

raat ko jub bi toun neendon k safar par jati

marmari hath ka ik takiayy banaya karti

mae tere kan se lag kr kai baten karta

teri zulfon ko tere galon ko chooma krta

jab bi to band qabba kholny lagti jaanaan

apni aankhon ko tere husan se khera karta

mujh ko betaab sa rkhta teri chahat ka nasha

mae teri rooh k gulshan mae mehakta rehta

mae terey jism k aangan mae khanakta rehta

kuchh nahi to bus yehi benaam sa bandan hota

Kash mae tere haseen haath ka kangan hota






Friday, 16 March 2012

Ghazal,Duniya Ne Hum Pe Jub Koi Ilzaam Rakh Diya

Duniya ne ham pe jub koi ilzm rkh diya
hm ne mobil us k tera nam rkh diya

ik khas had pe a gai jub teri berukhi
nam us k hum ne gardishy ayyam rakh diya

mae lar khara raha houn tuhain dekh dekh kar
 toun ne to mere samnay jam rakh diya

kitna sitam zareef hai wo sahib-e-jamal 
us ne diya jala k sar-e-baam rakh diya

ab jis k jee mae aaye wohi paye roshni
ham ne to dil jala k sar-e-aam rakh diya

kya moslehat shanaas tha wo aadmi noreen
majbooriyon ka naam jis ne wafa rakh diya


Wednesday, 14 March 2012

Safar Tanha Nahi Kartay

Safar tanha nahi kartay 

sonu aesa nahi kartay

jisay shafaaf rakhna ho 

usay mela nahi kartay

teri aankhayn ijazat dayn

to ham kya kya nahi kartay

bohat ujhray hoye ghar par 

bohat socha nahi kartay

safar jis ka moqadar ho

usay roka nahi kartay

jo mil kar khud se kho jaye

usay ruswaa nahi kartay

Din Thehar Jaye Magar Raat Katay

Din thehar jaye magar raat katay
koi soorat ho k barsaat katay

Khoshbooyen mujh ko qalm karti gaieen
shakh dar shakh merey haat katay

harf kyun apnay ganwaayen jaa kar
baat se pehlay jahan baat katay

chand aa mil kar manayen ye shab
 aaj ki raat tere sath katay

pooray insanon mae ghus aaye hain
sir katay jism katay zaat katay

Monday, 12 March 2012

Gham Na Kar Tere Liye Chiraagh Ban Jaonga

Gham na kar tere liye chiragh ban jaonga
khud jal kar teri rah mae roshni kar jaonga

dar hai k mujh se ruswaiyyan na milayn tumhain
tark-e-taluk khud hi kar jaonga 

tere aanchal mae houn phhool khawahish meri
apna daaman kaanton se mae bbhar jaonga

lakh bhulaanay se bhi na bhool sakogay tum
mae pyar hi tum se itna kar jaonga

sanwaaro apna naseeb tum khushi se noreen
main k barf pe bani ik tasweer aakhir mit jaonga

Kabhi Kisi Ko Mukamal Jahan Nahi Milta

Kabhi kisi ko mukamal jahan nahi milta

kahin yameen to kahin aasman nahi milta

disay bi dekhiye wo aap mae gum hai

zubaan mili hai magar ham zbaan nahi milta

 bhuja saka hai bhala kon waqt k sholay

ye aesi aag hai jis mae dhoowan nahi milta

tere jahan mae aesa nahi k pyar na ho

jahan umeed ho us ki wahan nahi milta

Pal Mae Doori Ho Jati Hai

Pal mae doori ho jati hai
zaat adhoori ho jati hai

aankhon mae neend aati nahi
raat poori ho jati hai

pehlay to hoti hai chaahat 
phir majboori ho jati hai

kuchh logon ki lamha bhar mae
khawahish poori ho jati hai

had se pyar guzar jaye to
aksar  doori ho jati hai

Friday, 9 March 2012

Aankhayn Bheeg Jati Hain

Samandar mae utarta houn to aankhayn bheeg jati hain
teri aankhon ko parhta houn to aankhayn bheeg jati hain

tumhara naam likhnay ki ijaazat chhin gai jub se
koi bi lafz likhta houn to aankhayn bheeg jati hain

teri yaadon ki khushboo khirkiyon mae raks karti hai
terey gham mae sulaghta houn to aankhayn bheeg jati hain

mae hans k jheel leta houn judaai k subi rasmay
galay jub us k lagta houn to aankhayn bheeg jati hain

najaanay ho gya houn is qadar main hasaas kab se
kisi se baat karta houn to aankhayn bheeg jati hain

wo sub guzray hoye lamhaat mujh ko yaad aatay hain
tumharay khat jo parhta houn to aankhayn bheeg jati hain

main saara din bohat masroof rehta houn magar jounhi
qadam  chokhhat pe rakhta houn to aankhayn bheeg jati hain

har ek muflis k maathay par alm ki daastanay hain
koi chehra bi parhta houn to aankhayn bheeg jati hain

baray logon k oonchay badnuma or sard mehlon ko
ghareeb aankhon se takta houn to aankhayn bheeg jati hain

terey koochay se ab mera taluq wajbi sa hai
magar jub bi guzarta houn to aankhayn bheeg jati hain

hazaaron mosmo ki hukmarani hai merey dil par
wasi mae jub bi hansta houn to aankhayn bheeg jati hain

Tamaam Shehar Mae Ab To Hai Raaj Kaanton Ka

tamaam shehar mae ab to hai raaj kanton ka
mujhay qabool nahi ye samaaj kaanton ka
chalo k kuchh to tasali hoi mere dil ko
isi mae khush houn k paya kharaj kanton ka
hamaray phool se chehron ko nochnay walo
kabi tum pe bi utray anaaj kanton ka
sambhaal saktay nahi ham ye gham ki jaageerayn
utaar lijiye sar se ye taaj kaanton ka
ye or baat k gul ki tarah mehktay rahay
wgarna ham bi rakhtay they mizaaj kaantoin ka
bohat ajeeb se lehjay mae baat karta hai
hai aaj phool mae kuchh imtizaaj kaanton ka

Hijar Ka Taara Dhoob Chala Hai

Hijar ka taara doob chala hai dhalne lagi hai raat wasi
qatra qatra bars rahi hai ashkon ki barsaat wasi
tere bad ye duniya walay mujh ko pagal kar dengay
khushboo k days mae mujh ko le chal apnay saath wasi
yunhi chup ki mohar laga kar kab tuk gum sum bethogay
khamoshi se dam ghut.ta hai chhero koi baat wasi
chhoro wasi ab us ki yaadayn tujh ko pagal kar dayngi
toun qatra hai wo darya dekh apni okaat wasi