Showing posts with label Nazm. Show all posts
Showing posts with label Nazm. Show all posts

Saturday, 24 March 2012

Wo Kaghaz Ki Kashti Wo Barish Ka Paani

Ye dolt bile lo ye shuhrat bi le lo 

bhaley chheen lo mujh se meri jawani 

mgar mujh ko lota do wo bachpan ka saawan

wo kaghaz ki kashti wo sawan ka paani

mohallay ki sb se porani nishani 

wo burhiyy jise bachay kehtay they naani

wo nni ki baaton me pariyon ka dayra

wo chehray ki jhoriyyon mae sadiyyon ka pehra

bhulaye nahi bhool sakt hi koi 

wo chhoti c ratayn wo lmbi kahani

kari dhoop mae apnay ghar se nikalna

wo chiriyn wo bulbul wo titli pakarna

wo gurhia kiu shadi pe larna jhagarna

wo jhoolon se girna wo gir k sambhalna

wo peetal k chhalon k pyre se tohfay

wo tooti hoi chooriyon ki nishani

wo kaghaz ki kashti wo barish ka paani


Friday, 2 March 2012

Chal Noreen Apnay Gaon Mae



Yahan uljhay uljhay roop bohat
per asal kam behroop bohat
us payrh k neechay kya rukna
jahan saaya kam or dhoop bohat
chal noreen apnay gaon mae
bethayn gay sukh ki chhaon mae
kyon teri aankh swali hai?
yahan har ek baat nirali hai
is days basayra mat karna
yahan muflis hona gaali hai
chal noreen apnay gaon mae
mathayn gay sukh ki chhaon mae
jahan sachay rishtay yaariyon k
jahan ghoonghat zaywar naariyon k
jahan jhornay koomal sukh wahan
jahan saaz bajayn bin taaron k
chal noreen apnay gaon mae 
bethayn gay sukh ki chaon mae