Showing posts with label Sad SMS. Show all posts
Showing posts with label Sad SMS. Show all posts

Wednesday, 14 March 2012

Aesa Nahi K Shakhs Accha Nahi Hai Wo

aesa nahi k shakhs achha nahi hai wo

jesa mere khyal mae tha wesa nahi hai wo

takhleeq  aasman pe mere liye howa

mana k is zameen par mera nahi hai wo

Pee Hai Sharaab Har Gali Har Dokaan Se

Pee hai sharaab har gali har dukaan se

ik dosti c ho gai hai sharaab k jaam se

guzray hain hum ishq mae kuchh aesey mukaam se

k nafrat c ho gai hai mohabbat k naam se

Friday, 9 March 2012

Jala Diya Wo Dil

kyun tarpatay rahay umar bhar kisi ki yaadon mae

                                  (zalim)

jala diya wo dil hum ne jo kisi ko yaad karta tha

Thursday, 8 March 2012

Wo Baat Poraani Yaad Aai

barsaat ki bheegi raton mae phir koi suhani yaad aai
kuchh apna zamana yaad aya kuch us ki kahani yaad aai
ikraar kiya tha us ne bhi
kmujhay tum se mohabbat hai
lo bethay bethay aj hamin wo baat porani yaad aai
hum bhool chukay thay k us ne
hamain duniya mae akela chhor diya
jub ghor kiya to ek soorat
jaani pehchani yaad aai
kuchh paon k chhaalay kuchh aansoo kuchh sapnay or kuchh tanhai
us bichhray hoy humraahi ki har ek nishani yaad aai

Meri Chahton Pe Shikway



Meri chahton pe shikway

tere raabton mae wakfay

haan yehi nishaaniyan hain

k toun door ho raha hai

Wednesday, 7 March 2012

Khaak Mae Sonay Lagay Hain



Aaj  youn mosam ne di jashn-e-mohabbat ki khabar

phoot kar ronay lagay hain main mohabbat or tum

hamne younhi kar liya mehsoos manzil hai qareeb

raastay khonay lagay hain main mohabbat or tum

chand ki kirno ne hamain is tarah bosa diya

dewta honay lagay hain main mohabbat or tum

dhar gya ilzaam apni hurmat pe koi

baarshain dhonay lagay hain main mohabbat or tum

aaj phir mehroomiyon ki daastaanayn orh kar

khaak mae sonay lagay hain main mohabbat or tum

Mujh Ko Wo Nuqsaan Bharna Hai



Suno logo meri aankhayn khareedo gy
mujhay ek khawab ka tawaan bharna hai
ek aesa khawab tha
jo jaagti aankhon se dekha tha
baray hi chaao se 
or kitnay armaano se dekha tha
magar dekhay howay us khawab ki taabeer ulti hai
nahi shikwa kisi se apni takdeer hi ulti hai
jo ab tak ho chuka hai
mujh ko wo nuksaan bharna hai
ab aankhayn beich kar hi

khawaab ka tawaan bharna hai

Kesa Waqt Hai



Kesa waqt hai usay fursat naui hamain yaad karnay ki


kabhi wo shakhs hamari hi saanson se jiya karta tha

Baad Marnay K Bhi




Baad marnay k bi us ne jalaana na chhora

       (*!*)NOREEN(*!*)

Roz phaynk jata hai phool saath wali qabar par

Ajeeb Tarah Se Socha Tha Zindgi K Liye



Ajeeb tarah se socha tha zindgi k liye

jeena marna tha sirf usi k liye

wo mujh ko tanha chhor gya to yakeen aaya

k koi shakhs bh nahi marta kisi k liye

Tuesday, 6 March 2012

Meri Zindgi Teri Panahon Mae Rahay



Meri zindagi teri panaho mae rahay

mar bhi jaayen to tri baanho mae rahayn

tere labon pe rahay meri muskorahat

or terey aansoo meri nigahoon mae rahayn

Mera Afsurda Chehra



Mera afsurda chehra kuch is liye bi zard rehta hai

 K mujhay apnay ilawa bi kisi ka dard rehta hai

Tumharay dum se thi ye dil ki sub rangeeniyan

Tumharay baad saara saal sard rehta hai

Tumharay baad baki to sub theak hai

bus pehlay jahan dil rehta tha ab dard rehta hai


Usay Kehna K us Ki Yaad



Usay kehna k us ki yaad mae behad aziyyat hai

ya to apna naqsh dho jaye ya mera ho jaye

Friday, 2 March 2012

Aansoo Muskorahat Se Zyada Special



Kabhi kabhi aansoo muskorahat ze ziada special hotay hain

kyyun k muskorahat to sub k liye hoti hai

lekin aansoo sirf un k liye

jinhain humkhona nahi chahtay

Us Ko Kya Saza Doon




Us ko kya saza doon jis ne mohabbat mae hamara dil torh diya

Gunah to hum ne kiya jo us ki baaton ko mohabbat ka rang diya