Kash main tere haseen hath ka kangan hota
toun baray pyar se baray chao se baray arman k sath
apni naazuk si kalaai mae chaarhati mujh ko
or betaabi se furqat ke khizan lamhon mae
toun kisi soch mae doobi jo ghomati mujh ko
mae tere hath ki khushboo se mehak sa jata
jub kabi morh mae aa kar mujhay chooma kaarti
tere honton ki shidat se mae dehak sa jaata
raat ko jub bi toun neendon k safar par jati
marmari hath ka ik takiayy banaya karti
mae tere kan se lag kr kai baten karta
teri zulfon ko tere galon ko chooma krta
jab bi to band qabba kholny lagti jaanaan
apni aankhon ko tere husan se khera karta
mujh ko betaab sa rkhta teri chahat ka nasha
mae teri rooh k gulshan mae mehakta rehta
mae terey jism k aangan mae khanakta rehta
kuchh nahi to bus yehi benaam sa bandan hota
Kash mae tere haseen haath ka kangan hota
No comments:
Post a Comment