Samandar mae utarta houn to aankhayn bheeg jati hain
teri aankhon ko parhta houn to aankhayn bheeg jati hain
tumhara naam likhnay ki ijaazat chhin gai jub se
koi bi lafz likhta houn to aankhayn bheeg jati hain
teri yaadon ki khushboo khirkiyon mae raks karti hai
terey gham mae sulaghta houn to aankhayn bheeg jati hain
mae hans k jheel leta houn judaai k subi rasmay
galay jub us k lagta houn to aankhayn bheeg jati hain
najaanay ho gya houn is qadar main hasaas kab se
kisi se baat karta houn to aankhayn bheeg jati hain
wo sub guzray hoye lamhaat mujh ko yaad aatay hain
tumharay khat jo parhta houn to aankhayn bheeg jati hain
main saara din bohat masroof rehta houn magar jounhi
qadam chokhhat pe rakhta houn to aankhayn bheeg jati hain
har ek muflis k maathay par alm ki daastanay hain
koi chehra bi parhta houn to aankhayn bheeg jati hain
baray logon k oonchay badnuma or sard mehlon ko
ghareeb aankhon se takta houn to aankhayn bheeg jati hain
terey koochay se ab mera taluq wajbi sa hai
magar jub bi guzarta houn to aankhayn bheeg jati hain
hazaaron mosmo ki hukmarani hai merey dil par
wasi mae jub bi hansta houn to aankhayn bheeg jati hain
No comments:
Post a Comment