Mout ki aaghosh mae thak k jub so jati hai MAA
tub kahin ja kar saakoon pati hai MAA
fikar mae bachhon ki kuch is tarah ghul jati hai MAA
nojawaan hotay howay boorhi nazar aati hai MAA
kab zaroorat ho meri bachhay ko itna soch kar
jagti rehti hain aankhayn or so jatio hai MAA
pehlay bachhon ko khilati hai sakoon or chayn se
bad mae jo bacha wo shok se khati hai MAA
mangti hi nahi apnay liye kuchh ALLAH se
apnay bachhon k liye daaman philaati hai MAA
pyar kehtay hain kisay or maamta kya cheez hai
koi un bachon se poochhay jin ki mar jati hai MAA
phayr lete hain jis waqt nazar betay or baho
ajnabi aapnay hi ghar mae ban jati hai MAA
ham ne ye bhi to nahi socha alag honay k baad
jab diya hi nahi ham ne kuch to kya khati hai MAA
zabt to dekho itni berokhi k bawajood
bad,dua deti hai na or na pichhtati hai MAA
saal bhar mae ya kabi haftay mae jumeraat ko
zindgi bhar ka sila ik fateha paati hai MAA
us ne deena ko diye masoom rehbar is liye
azmaton mae saani QURAAN kehlati hai MAA
baad mar janay k phir betay ki khidmat k liye
bhays beti ka badal kar ghar mae aa jati hai MAA